Youtube Video Ke Views Kaise Badhaye
hello Dosto pc hindi tricks main aap ka suagat hai to , Aaj me aapko bataunga ki YouTube Video Par Views Kaise Badhaye. Aaj YouTube bhi Google ki tarah ek bohot bada platform ban gaya hai. Is par roj bohot sare naye YouTubers Aate hai aur apni channel banate hai. lekin inme se success hone wale kuch hi log hote hai. aur jo baki bachte hai usme se kuch log mahenat karte rahte aur kuch to 1 week ke andar hi Youtube ko chhod dete hai. Aur Sabhi YouTubers ka Ek hi sawal hota hai ki YouTube Video Ke Views Kaise Badhaye. to un logo ke liye ye post useful hai.Youtube par Kuch logo ke Video kam hote hai lekin unke Video par Millions of Views hote hai aur kuch logo ke Video to bohot hote hai lekin unko Views nahi milte. to ye depend karta unke work par. Sabhi log sirf HardWork karte hai lekin aap SmartWork kare. Jo Log SmartWork karte hai vo kuch Tips ko Follow karte hai. Vo Tips Me aapko yaha bataunga jise follow karke aap bhi YouTube Video Ke Viewers Increase kar Sakte hai.
10 Tips – Youtube Video Ke View Kaise Badhaye
1:- Use Attractive Thumbnail
Dosto YouTube me Sabse main Baat hoti hai Video ki Thumbnail. Maine Dekha hai ki jyadatar log to Thumbnail dekh kar hi video ko dekhte hai. isiliye dosto thumbnail hamesh attractive aur effective banaye jise dekhte hi log video ko dekhe. aur ha Thumbnail aisa create kare jo Video se juda ho. agar aap thumbnail me kuch aur video me kuch aur dikhaonge to aap ka video spam me aa jayenga. Thumbnail aap kisi achhe Photo Editor app me Create kare.
2:- Best Video Title
Thumbnail ke baad aata hai Video ka Title. Title bhi hamesha aap aisa rakhe jo attractive ho. Aur Title me aap Target Keyword use kare. Aap ek baar Jis bare me Video bana rahe hai uske keywords ki research kare. aap Google Keyword Planner ya fir YouTube me bhi search karke Keyword dekh sakte hai. Video ka Title bhi Video se related hona chahiye. Logo ko Video title padhte hi samaj aa jana chahiye ki video me kya hai. Video ka Title bhi Views badhane me aapki kafi madad karenga.
3:- Add Better and Clear Description
Ab baari aati hai Video ke Description ki. kai log description ko padhne ke baad hi video ko dekhte hai. to aap hamesa Clear Description likhe jisme aapke video ke related jankari ho. Description me bhi aap Focused Keyword ko use kariye. fir last me aap apne blog ya social pages ki link add kar sakte hai.
4:- Video Length
Kai baar naye Youtubers Video ki lambai bohot hi jyada rakh lete hai jiski wajah se unko views kam milte hai. isi liye aapko apne video ki length hamesha 3 se 5 minit ke aaspaas rakh sakte hai. log hamesha kam time me jyada jankari lena chahte hai, isi liye aap video me jobhi jankari dena chahte hai vo short aur clearly samaj aane wali honi chahiye.
5:- Add Best Tag in Video
Aapko Video ke Tag bhi Focused Keyword wale rakhne chahiye. jisse search me aap ka video top pe aaye. Video ko search me Top me lane ke liye Tag bohot hi jaruri hai. aur Tag aap hamesha video ke related hi add kijiye.
6:- Rename Video File
Kuch log Video ko banane ke baad jo video file create hoti hai use vaise hi Publish kar dete hai. lekin aapko publish karne se pahle use rename karna honga. yani aapko us video file ka naam apne video ke title ke naam ya Focused Keyword se rakhna hoga. jisse aapka video search me jald aayenga aur aapke Views increase honge.
7:- Social Media Networking
Ab Video ko Publish karne ke baad aap ise sabhi Social Network site jaise Facebook, Twitter, Instagram aur Whatsapp me share kariye. isse bhi aapke video ke Views increase honge. Facebook jaisi badi Social Site me aap Video ke Category ke bade Group me join ho jaye aur usme apne video ko share kare. Video ko Share karne me bhi bohot log galti karte hai, Vo Direct hi link ko share karte hai. lekin aap link ke sath us video ke baare me upar 2-3 line likhe. Aap Whatsapp me bhi bade group me apne video share kare aur apne friends ko bhi har video share kare.
8:- Engage with Your Audience
Aap hamesha apne Viewers ke sath contact me rahe aur unki ray lete rahe. aur unse apne video ke baare me puchhte rahe jisse aapko apne video ki kamiya nikal sake. aap comments ke throw logo se connect rahe aur logo ko ek acche dost ki tarah help karte rahiye. jisse aapke subscribe bhi badhne lagege.
9:- Create a Blog for Youtube Channel
Agar aap Apne Channel ke liye apna blog bana lege to ye to sone pe suhaga jaisa ho jayenga. kyu ki blog ke throw aapko Google se bohot sara traffic mil jayenga. aap apne Video ko Blog me Embed karke Vaha se bhi Viewers badha sakte hai aur aapki Earning bhi double ho jayengi. ek YouTube se aur dusri apne blog se bhi kar sakte hai.
10:- Comment Reply
Video ke views badhenge tab comments bhi aane lagegi. aap sabhi comments ko padhiye aur puche gaye sawalo ke bhi answer dijiye. jisse vo viewers dobara aapki video jarur dekhenga. Aap bade bade YouTube ko dekhna vo sabhi comments ko dekhte hai aur reply dene wali comments ko vo reply bhi karte hai. to aap comments ke reply kare jisse aapke views pe kabhi badhava honga.
No comments:
Post a Comment
Aap Hame Comment Kar Sakte Hai Aap Ka Hamari Blog Main Suwagat Hai