25 Dec 2017
how to remove shortcut virus in hindi tips
Dosto aap pendrive toh use krte hi hoge. College ke Computer me, office ke computer me ya kisi friend ke computer se koi Data lene ke liye pendrive ka jyadater istemaal hota hai . Aise me kbhi kbhi aapke pendrive me shortcut wala virus aa jata hai. Jo aapke file aur folder ko shortcut bna deta hai . Aur wo file open bhi nahi hoti hai. Aur yah aisa virus hai jo Kisi normal antivirus se bhi nahi delete hota hai. Iss post me aapko btaunga ki aap apne pendrive shortcut viruskaise remove karenge.
Aap apne computer me CMD (Command Prompt) ke jariye shortcut virus ko remove kar skte hai hain. Iss Method se 95% chances rhte hai virus ko htane me. CMD dwara iss virus ko remove karne ke liye steps ko follow kare :-
Step 1:- Sbse phle CMD window open kar lijiye . CMD window open karne ke liye “Start” par click kare aur “RUN “ me jaaye . Fir ek dialog box open hoga usme “CMD” type kare .Fir Enter par click kare .
Step 2: Jab aapka CMD open ho jayega tb aapko C drive ka path milega . Lekin aapko apne pendrive ka shortcut remove krna hai toh aapko Pendrive ka Path dena pdega.
Step 3:- Pendrive ka path dene ke liye pendrive ke name kea age jo “Letter” hoga usko likh ke enter kr dijiye .Jaise maan lijiye mere pendrive ka letter “I” hai toh maine (“ I: “) likh diya .
Step 5:- Attib likhne ke baad Enter kar dijiye . Aur wait kijiye jbtk cmd process kar rha hai. Iske baad aapne Pendrive se shortcut virus remove ho jayega .
Agar aap kisi software ke help se iss virus ko remove krna chahte hai toh aap ek software ka use krke bhi iss shortcut virus ko remove kar skte hai . iss Software ka naam hai “USBFix “ .
USB Fix se shortcut virus kaise htaye:
Step 1:- Sbse phle aap “USBFix” software yaha se download kar lijiye .Download Here .
Step 2:- USBFix ko install kar lijiye fir apne system ko restart kijiye .
Step 3:-Fir apne Pendrive ko apne system me connect kr lijiye . Jisme shortcut virus wali file hai
Step 4 :- USBFix software me aapko ek “Clean” naam ka option milega .Uspr clik kr dijiye .
Step 5:- Ab aap wait kijiye jb tk USBFix software aapke shortcut virus ko remove krta hai.
Agar aap Is Trick ka Use karte hai, to apko Pen Drive se Shortcut Virus Delete ho jayega aur age se kabhi nahi banega. Agar is Trick se apka SD Card sahi naa ho rha ho. To aap iske Help se try kare.
Recommended Articles
- computer
अपने नाम का DJ song कैसे बनाते है | हिंदी मैं जानकारी Feb 15, 2018
अपने नाम का DJ song कैसे बनाते है | (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({}); अपने ...
- computer
Computer Keyboard Shortcut:Keyboard Shortcuts For Google Chrome Jan 22, 2018
Computer Keyboard Shortcut:Keyboard Shortcuts For Google Chrome (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({}); (adsbygoogle = window.a...
- computer
computer tricks in hindi pdf free downloadJan 08, 2018
computer tricks in hindi pdf free download (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({}); (adsbygoogle = window.adsbygoogle |...
- computer
how to remove shortcut virus in hindi tipsDec 25, 2017
how to remove shortcut virus Dosto aap pendrive toh use krte hi hoge. College ke Computer me, office ke computer me ya kisi ...
Newer Article
what is web hosting ? webhosting kya hai or ise kaise khride in hindi tricks
Older Article
Youtube Video Ke Views Kaise Badhaye 10 tips in hindi
Labels:
computer
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
Aap Hame Comment Kar Sakte Hai Aap Ka Hamari Blog Main Suwagat Hai