pc tricks and tips in hindi

कम्प्युटर ट्रिक्स ,विंडोज, हैकिंंग , wordpress, ब्लॉगर, free wap भी बहुत सारी जानकारिया इन हिन्दीdevelopmaint course in हिन्दी java,java script,html,jqury, php , full course in हिन्दी android tricks,

24 Dec 2017

instagram पर followers बढ़ाने का तरीका हिंदी मैं जानकारी




Friends, jaisa ki hum dekh rahe hai ki aaj kal smartphones ka use badhta hi jaa raha hai. Har aadmi ka lifestyle bahut hi change ho chuka hai. Har aadmi ab apne friends aur relatives ke touch me rahta hai. Aur saath me hi apna lifestyle social media par share bhi karna chahta hai.
Ab har person apni har ek moment ko camera me capture karna chahta hai. Isliye ab har smartphone banane wali company ye try kar rahi hai ki unke smartphone ka camera accha ho. In pictures ko click karne ke baad wo social media pe share kar dete hain taaki unke friends aur relatives hamesa updated rahe.
Photos ko share karne ke maamle me abhi Instagram top pe hai. Jab se Facebook ne ise kharida hai, tab se hi iske users bahut badh gaye hain. Instagram internet pe photo share karne ke liye best option hai. Instagram ke popularity ke kaaran bhi bahut se aadmi apne pics ko instagram pe share karna chahte hain. Aur saath me ye bhi chahte hain ki unke followers ki sankhya daily badhte hi jaaye.
Isliye friends aaj main aapki ye problem solve kar dunga ki instagram followers kaise badhaye. Aaj main 8 aise tricks lekar aaya hun jinki help se aap Instagram followers aasani se badha sakte hain.

1. Like Others Photos

Ye apni presence batane ka Instagram pe best tarika hai. Agar aap kisi ke photo ko like karte ho, to aap uss person ki nazar me rahte ho. Phir jab kabhi bhi aap photo upload karoge to wo person aapki pic ko jarur like karega. Aisa generally hota hai. Aapko like and comments ke badle likes and comments jarur milenge. Aur saath me aisa bhi ho sakta hai ki uss person ka friend bhi aapko follow karna start kar de.

2. Aap regularly post karo, par had se jyaada nahi

Aap Instagram pe regularly photos update karte raho. Aisa karne se aapke aapke followers ka interest aapke account se bana raha hai. Par ab aisa na ho ki aap daily 10-12 post karne lago. Aisa karne se wo thoda irritate ya bore ho sakte hain. Aap aaram se 8-10 hours me ek photo upload kar do. Ye efficient timing hai instagram pe pic upload karne ki. Aisa karne se unka interest aapke account me hamesa bana rahega aur saath me hi aapke followers bhi badhte rahenge.

मेमोरी कार्ड (Sd) से एंड्राइड मोबाइल की Ram कैसे बढाये हिन्दी मैं जानकारी

3. Shoutouts

Shoutout Instagram pe dusre ki account ko attention dene ka tarika hai. Aisa karne ke liye posts ya captions ka help liya jata hai. Aisa karne se jyaada person aapke account ko dekhenge aur aapke followers badhne lagenge. Agar koi famous account aapko Shoutout dena hai to ye aapke liye bahut hi beneficial hai. Bahut se accounts aise hain jinhe shoutout milne ke baad unke followers bahut jyaada badh gaye.

How To Unlock Android Phone Without Google Account (In Hindi)

Shoutout paane ke do tarike hai. Pehla to ye ki aap apne friends ke account ko shoutout karo. Aur badle me wo aapke account ka karenge. Aisa karne se dono ke followers badhne lagenge. Dusra method ye hai ki agar aap kisi bade aur famous account se Shoutout paana chahte hain to aap uske admin se contact kare. Aisa bhi ho sakta hai ki kuch payment lene ke baad wo aapke account ko popular kar de.

4. Apne Account ko Attractive banaye

Aap apne account ko attractive banaye. Mai aisa isliye keh raha hu kyuki agar koi person aapke account ko visit karta hai, aur use aapka account attractive laga to wo aapko follow jarur karega. Lekin agar aapka account attractive nahi hoga to koi bhi person aapko follow nahi karna chahega.
To chaliye mai aapko kuch basic baatein batata hu ki apne profile ko kaise design kare aur attractive banaye (especially for Public accounts) :-
  1. Apne account se related hi Profile pic set kare.
  2. Ek Bio likhe jo aapko aur aapke account ko properly describe kar de.
  3. Koshish kare ki jo aapke account ka theme hai, app usse related hi photos share kare.
  4. Agar aapka public account hai to personal photos share na kare.

5. Proper timing pe post kare

Aap kabhi nahi chahenge ki aapka photography unnoticed ho. Isliye mai aapko ye recommend karta hu ki usi time pe post kare jab aapke account ke maximum users online rahte hain. Taaki wo aapke posts dekh sake aur saath me share bhi kare. Aisa karne se aapke likes, comments aur followers jarur badhenge.
Expert research ki maane to Instagram par shaam ke 5:00 se 6:30 baje tak maximum users online rahte hain.

6. Hashtags ka use kare

Jab aap instagram pe koi photo post karte hai to aap uska ca[tion likhne ke liye free hote hain. Aap captions me Hashtags ka bhi use kar sakte hain. Aisa karne se aapke ek hi pic pe bahut hi link mil jayega. Aur jab koi person uss hashtag se related pic ko search karega to aapka pic bhi search me aayega.
Agar use aapka pic pasand aay to wo jarur aapko follow karega. Aise hi aapke followers badhne lagenge.

7. Posts ko Geotag kare

Instagram par photo upload karne se pahle Geotag your photo ka ek option rahta hai. Aap iss feature se apne followers badha sakta hain. Jab aap kisi photo ka location set karte hain to wo search me bhi aane lagta hai. Aur jab search me aayega to followers to badhenge hi. Isliye aapko ye recommend kiya jata hai ki apne photos ko geotag jarur kare.

8. “TagsForLikes” ka use kare

TagsForLikes ek bahut hi popular app app hai jiski help se aap better hashtags ka use kar sakte hain. Ye app sabhi top likes aur hashtags ko monitor karta rahta hai. Aur aapko daily updated list provide karta hai. Aap iss list ke top hashtags ka use apne pic pe kar sakte hain. Aisa karne se definitely aapke followers badh jayenge.

To friends, aaj humne ye jana ki Instagram par followers kaise badhaye jaate hain. Maine aapko instagram par followers badhane ke 8 tricks bataye.
Ab mai aapko logo se ye request karta hu ki aap please iss post ko apne Facebook, Whatsapp aur Twitter account pe share kar dena. Aisa karne se hume future me aur bhi acche posts likhne me help milegi.

No comments:

Post a Comment

Aap Hame Comment Kar Sakte Hai Aap Ka Hamari Blog Main Suwagat Hai