pc tricks and tips in hindi

कम्प्युटर ट्रिक्स ,विंडोज, हैकिंंग , wordpress, ब्लॉगर, free wap भी बहुत सारी जानकारिया इन हिन्दीdevelopmaint course in हिन्दी java,java script,html,jqury, php , full course in हिन्दी android tricks,

2 Jan 2018

Blogger top 5 tricks and tips in hindi

 Ultimate Blogging Tips For Beginners in hindi





post by:-mahendra raiger

New Bloggers ke liye Top 5 blogging Tips hindi me. Yadi aap ek new blogger hai to aapko kam se kam ek bar yah post jarur padhni chahiye. Qki mera manna hai ki yah post aapke liye bahut hi helpful aur kargar sabit hone wali hai.Yadi aap ek naye blogger hai aur blog likhte likhte jyada time nahi hua hai Aur aapka Adsense account approve nahi hua hai to yah post jarur padhe aur ek dum carefully.

Kai logo ka main maksad blogging karke online paisa kamane ka hota hai, lekin Sadupayog [Best Hindi Blog] ka maksad kuchh or hi. Mai aap logo ko ek bat fir se clear karna chahta hu ki, mujhe apne aap ko logo (people) ke samne represent karna bahut achha lagta hai, iske alawa tab aur jyada achha lagta hai jab mai kisi ki help karta hu. Isliye mera main maksad to yahi hai ki mai logo ki jyada se jyada help kar saku aur kisi ke kaam aa saku, earning money to hoti rahegi. Means mera jyada focus earning money ki jagah helping people par jyada rehta hai.

To chahliye ab mai aapko aur jyada bore nahi karta hu aur kaam ki baat karta hu. Ki ek New blogger ko blogging ke samay kin kin bato ka dhyan rakhna chahiye.




1. hamesa costum template use kare
   Yadi aap ek acche blogger banna chahte hai to aap custome blog template ka use karein. Iske liye aap Google se free me Blogger templates download kar sakte hai. Aur koshish karein ki aapke dwara use me laya gya Template SEO friendly ho. Ya fir main kuchh websites ke name aapko bata deta hu jaha se aap free me SEO Friendly Blogger Templates Free Download kar sakte hai.




Iske alawa yadi aapko koi bhi free template na bhi pasand aaye to fir aap paise dekar bhi koi SEO Friendly Blogger Template ko download kar sakte hai.


2. Dusre ka content copy na kare

Yadi aap Ek blogger hai to is bat ka hamesha dhyan rakhein ki kisi ka likha hua content / text kabhi bhi copay na kare. Aisa karne par ulta aapko hi iska bhari nuksan ho sakta hai. Yadi hum kisi ka content copy karke apne blog me paste kar dete hai to isse visitors ke mind me negativity aaegi ki same content unhe dusri website ya blog par bhi mil rha hai aur aapki website ya blog par bhi same content mil rha hai to visitor aapke blog par aane ki bajae dusre blog par jana pasand karnege aur aapke blog se unka vishvaas ya connectivity tut jaegi. So is bat ka hamesha dhyan rakhe ki visitor jo ki humare blog par aate hai, unhe bilkul bhi bevkuf na samjhe. Visitors bahut hi samajhdar hote hai aur unhe is bat ka bahut achhe se pata chal jata hai ki kon si website real hai aur kon si duplicate.
 Iske alawa yadi aap kisi ka content / text apne blog me copy karte hai ya chori karte hai, aur yadi us blogger ko iske bare me pata chal gya to fir aapki khair nahi. Vah Blogger Google se aapki complaint kar sakta hai aur Google aapka Adsense Account hamesha ke liye block kar sakta hai. Jisse ki aapki saari mehnat par pani fir sakta hai. To is bat ka hamesha dhyan rahe ki kabhi bhi kisi ka data / text churane ka vichar man me bhi na laayein.


3. Copyright Image ka use na kare

Yadi aap koi Image kisi dusri website / blog ya search Engine se download karke apne blog me use kar rhe hai to us Image ke niche us website ka name caption ke rup me jarur add kare aur us website ko iska credit dein. jaha tak ho sake koshish karein ki aap khud ki hi Images ya fir bina copyright wali Images hi apne blog me use kare, nahi to yah bhi ho sakta hai ki yadi aap koi copyright wali Image apne blog me use kar rhe hai to us Image ka owner aapke upar case bhi kar sakta hai, Qki aap copyright Image ka use apne blog me kar rhe hai. Isliye hamesha copywrite Images ko apne blog me use karne ke liye avoid karein. Ya fir us website ko iska credit jarur dein. Aisa karne se visitors ke man me aapke blog ke liye positive thinking aati hai.


4. Regular Blogging kare

Kai sare bloggers aise hote hai jo ki blog likhna to shuru kar dete hai but dhire dhire is chiz ko halke me lene lagte hai aur jaldi hi bore ho jate hai. Yadi aap ek regular blogger hai aur regular apna blog maintain karte hai to isse visitors ke man me ek positive thinking bani rehti hai. Aur Visitor aapke blog par next post ka wait karta rehta hai. Yadi aapke Blogging me koi regularity hi nahi hai aur visitor aapke blog par bar bar new post check karne ke liye aa rha hai but use yadi vaha par kuchh bhi naya nhi mil rha hai to fir isse visitors ki aas tut jati hai aur fir vo aapke blog par aana kam kar deta hai aur fir dhire dhire vo aapke blog par aana hi band kar deta hai. Isliye yadi aap ek achhe blogger aur successful blogger banna chahte hai to regular blogging kare. Part Time blogging se na to aapko maza aaega aur na hi vsitors ko maza aaega. Yadi aap regular post likhte hai to visitors aur aapke bich me achhe relations bhi bante hai aur visitors aapke aur achhe se samjhne ki koshish karenge. Regular Blogging ka matlab 1 week me kam se kam 2-3 post jarur dalein.


5. Always Positive content daalein.

Ek proffessional blogger banne ke liye is bat ka hamesha dhyan rakhe ki kabhi bhi apne blog me negative thinking gain karne wali post na daalein. Negative content / posts means kabhi bhi aisi posts apne blog par na dalein jisse kisi ka nuksan ho rha ho. Jaise ki Hacking, Porn, Gambling, Abusing content, Smoking, Content related to Bad habbits etc. In chizo se kisi ka bhi fayda nahi hone wala, ulta nuksan hi nuksan hai to hamesha is tarah ke content ko neglate karein. Tabhi aap ek proffessional, Successful blogger ban sakte hai.

 In sab chizo ke alawa thoda patience rakhein aur apne hosle humesha buland aur bade rakhe, Jitna jyada dheeraj (Patience) rakhenge utna jyada aapka fayda hoga.
 agar aap ye post pasand aayi to comment and share kare thanks you..

No comments:

Post a Comment

Aap Hame Comment Kar Sakte Hai Aap Ka Hamari Blog Main Suwagat Hai