Top 10 Android Tips and tricks
1. Android Tips – Android phones ki battery Life kaise badhaye ?
Dosto battery khatam hone ki problem to har android phone me aam bat hai isiliye kai logo ne is problem se chutkara pane ke liye power bank ka use karna shuru kar diya hai lekin agar aapke pas power bank nahi hai to aap Google playstore se Battery Doctor (Power Saver) app download kar lijiye.
Dosto kabhi-kabhi hamare phone ke kuch apps apne aap chalte rahte hai or us se hamare phone ki battery bahut jaldi khatm ho jati hai Battery Doctor (Power Saver) app dusre apps ko chalne se rok deta hai or aapke phone ki battery save rahti hai.
2. Android Tips – Android phones ke storage space ko increase kaise kare ?
Dosto agar aapke phone memory ka storage kam hai or jayada files hone ke karan uska space full ho gaya hai to aap sochte honge ki aisa kya karu ki mujhe kuch delete bhi na karna pade or space bhi free ho jaye dosto ye trick use karke aap aisa bhi kar sakyte hai bas aapko mere bataye instructions follow karne hai.
1. Sabse pahle apne android phone me File Manager open kare.
2. Ab Android name ke folder ko search kare or delete kar de.
Dosto aapko sirf Android folder delete karna hai dhyan rahe koi or folder delete na ho.
3. Android Tips – Android phone ke hang hone par kya kare ?
Dosto agar aapka Android phone bar-bar hang hota hai to aap is trick ke jariye is problem ko solve kar sakte hai.
Doto Jap aap apne phone me kuch apps ko ek sath use kar rahe hote hai to aapka phone hang hone lagta ise rokne ke liye aapko sabhi apps ko close karna hai or task manager me jakar clear Ram ke option par click karna hai or iske baad aapka phone hang hona band ho jayega.
4. Android Tips – Android phone ko Tv remote kaise banaye ?
Dosto aapme se bahut kam log jante honge ki aap apne Android phone ko Tv ke remote ki tarah bhi use kar sakte ho lekin iske liye aapko Android Tv Remote control app down load karna hoga is app se aap apne tv ko puri tarah se control kar payenge lekin ye feature sirf kuch mehenge tv me hi supported hai.
5. Android Tips – Android phone me secret Files kaise banaye ?
Dosto hamre phone me bahut si aisi Files hoti hai jinhe ham hide kar kr rakhna chahte hai taki jab hamara phone koi dusra vyakti use kare to vo un Files ko dekh na paye aapko Google playstore par bahut se aise apps mil jayenge jisase aap apne personal Files ko hide kar sakte hai lekin dosto main aapko aisi trick batane jar aha hu jise use karke aap bina koi app download kiye apne secret Files ko Hide kar payenge.
Agar aap kisi file ko hide karna chahte hai to aapko usko Rename karna hoga jaise ek file hai jiska name Personal hai to aap uska rename “.Personal” karke save kar dijiye vo aapke phone me hide ho jayega or jab aapko is File ko dekhna ho to aap File Manager me jakar show hidden Files ke option par click karke ise dekh sakte hai.
6. Android Tips – Androd phones ki screen ka video kaise record kare ?
Dosto is trick se aap apne phone ke screen ko Record kar sakte ho jaise ki aap apne phone me koi game khel rahe ho or aap chahte ho ki uski ek video ban jaye jise aap kabhi bhi dekh sake to ye trick aapke kaam aa sakti hai aapko sirf playstore se DU Recorder app download karke apne phone me install karna hai or is app se aap bahut asaani se apne phone ki screen ka video record kar sakte hai. Dosto kuch log iska use karke apps tutorial video banate hai or youtube par upload karke paise bhi kamate hai.
7. Android Tips – Android phones me image ka size kaise kam kare ?
Dosto aapne kai bar dekha hoga ki jab ham apne phone se koi photo khichte hai to uska size 2mb-5mb tak hota hai jisase hamare phone ka storage bahut jaldi full ho jata hai ye problem android phones me bahut aam hai lekin agar aapko apne photos ka size 300kb-400kb tak karna hai to ye trick aapke liye bahut usefull hai.
Sabse pahle aapko apna camera open karke uski setting me jana hai or Resolution ke option ko select karke use kam karna hai lekin aap Resolution jyada kam bhi na kare kyonki isase aapke photo ki quality bhi kam ho jayegi.
8. Android Tips – Android phone ki Ram kaise badhaye ?
Dosto aajkal Google play store par bahut ache-ache games aa rahe hai lekin unhe apne phone me install karne ke liye hamare phone ka Ram bhi jyada hona chahiye is trick me main aapko ek aisa tarika bata raha hu jisase aapke phone ka Ram badh jayega.
Dosto sabse pahle aap apne phone me Google playstore se RamExpander app install kariye or is app ki help se apne phone ki Ram badhaiye or high Quailty ke Games kheliye.
9. Android Tips – Android phone me Recycle Bin kaise use kare ?
Dosto Recycle bin software aapne jyadatar windows me dekha hoga lekin ab developers ne iska size chota kar diya taki android phones me bhi iska istemaal kiya ja sake.
Dosto kabhi-kabhi ham apne phone se koi important file galti se delete kar dete hai to vo file hamesha ke liye erase ho jati hai or ham use dobara nahi pa sakte lekin agar aapke phone me Recycle Bin to vo file delete hokar Recycle bin me save ho jayegi or aap jarurat padne par use dobara pa sakte ho ye app aapko Google playstore par mil jayegi.
10. Android Tips – Android phone se wifi kaise hack kare ?
Dosto agar aap apne phone se kisi ka wifi hack karna chahte hai to ye trick aapke bahut kam ayega or is trick ko use karke aap apne phone me wifi se free internet chala sakte hai lekin iske liye aapko wifi Hacker professional app download karna hoga.dosto ye app 100% work karta hai or ise kai countries ne Ban bhi kar diya hai.
agar aap ko or kisi aap ki jankari chahiye to comment kare
No comments:
Post a Comment
Aap Hame Comment Kar Sakte Hai Aap Ka Hamari Blog Main Suwagat Hai