how to install windows 8 and windows 8.1 full guide
friend my name is mahendra to aaj ham baat karege ki , Window 8 install kaise kare ? Window 8/8.1 ki installation process step by step with image Batauga. Dear friends aaj kal window 10 ka Jamana hai lekin Aaj Bhi log XP or Windows 7 Jyada use karte hain Unki Bajah toh Hum bhi Nahi Jante, Lekin Sabki apni-apni Choice ho sakti hai. Kuch log Windows 7 install karne ke baad window ko upgrade karna chahte hain Ek he Windows Chala Chala kar boring feel Karne lagte hai. Aur jab window ko upgrade karne ke baare mein sochte hai toh kuch Logon ke dimag mein yeh bhi Sawal Aata Hai agar Windows 7 se direct window 10 install Karenge to chalane mein Mushkil aayegi. Isliye window 10 Karne Se Bhi darte Rehte Hain. Windows 7 Ke Baad Hamare Paas Window 8/8.1 ka option bhi rehta hai Window 7 ko updagde Karke Window 8 Install kar sakte hain.
How To Install Windows 8 Step By Step in Hindi.
Ab apne decide to kar liya ki Window 8 install karni hai, lekin window install karne ki process first time kafi Mushkil Lagti Hai. Agar HumNe Pehle Kabhi window install Na ki ho toh. Aur Agar ek baar window install ki process apne karli toh Koi Bhi Windows install karne ki process Aap Ko easy lagne lagegi. window install karna Koi Badi baat nahi hai, Koi bhi Install kar sakta hai window. Ek baar try karne ke baad toh aap bhi kahege kitna aasaan tha na window install karna. Toh chliye sikh lete hai. window install kaise karte hain.
Windows 8 install Karne Ka Tarika
Window 8/8.1 install akrne ke 2 tarike hai. (1.) Bootable CD/DVD (2.) Bootable Pendrive Dawara, Jo bhi tarika apko easy lage try kar sakte ho. Agar aap first time window install kar rahe ho toh, Mein apko suggest karuga ki aap CD buy kar lijiye jo apke baar baar kaam aayegi or Window install karne me bhi aasani hogi. Khair yeh apke upar depend karta hai apko konsa method easy lagta hai window installation Process ka.
Window 8/8.1 install
Kaise kare Step By Step Guide in Hindi
STEP 1:
Sabse pahle aap apne Computer or Laptop main CD daale aur computer ko Restart Kare.
STEP 2:
Jab aap computer ko Restart karoge toh boot wala button press kare. Boot button apko show ho jayega konsa button hai boot wala. Mere laptop mein F12 Boot menu Hai. Sayad apka bhi same ho.
STEP 3:
Ab Apke Samne Press any key ka option aayega, toh aap koi bhi key Press kar dijiye.
STEP 4:
Ab apke samne Window 8 Setup Ka option open hoga. Usme aap language select kare ya by default hi rehne de or Next par click kare.
STEP 5:
Next option apke samne install Now ka option aayega or aap install now par click kare.
STEP 6:
Agar apki window 8 Pro hai toh Enter thr Product key to activation windows ki window open hogi usme aap key daal kar Next Par click kare.
STEP 7:
licence terms ke option me i accept the terms and conditions par tick kare or next Button par click kare.
STEP 8:
which type of installation do you want me aap custom install windows only (advanced) Select kare.
STEP 9:
Ab apko window partition ko choose karna hai yani ki C Drive ko. Window Hamesha C Drive mein hi install hoti hai. (i) C Drive Select Kare, (ii) Format Par click kare. (iii). Format karne ke baad next ka option Active ho jayega tab next par click kare.
STEP 10:
Ab window install hona shuru Ho jayegi 20-30 Minute lag sakte hai install hone me. 100% done hote hi Computer Restart Hoga.
STEP 11:
Resart hone me thoda sa time lag sakta hai System Getting Ready 100% Done hone ke baad (i) Window Ka colour Select kare. (ii) PC Name Dale. (iii) Click On Next.
STEP 12:
Next Option Settings ka ayega Use Express Setting or Customize ka option hoga aap Use express Setting Select kar sakte hai.
STEP 13:
Ab apke samne User Name or Password Dalne ka option aayega usme aap user or paasword daal kar Finish kar dijiye. Agar password nahi lagana chahte toh sirf User Name hi daale or Finish Par click kare.
STEP 14:
Ab Window 8 installation Process 100% Puri Ho chuki hai. Desktop Par Click kare Window istemal kar sakte hai.
No comments:
Post a Comment
Aap Hame Comment Kar Sakte Hai Aap Ka Hamari Blog Main Suwagat Hai