pc tricks and tips in hindi

कम्प्युटर ट्रिक्स ,विंडोज, हैकिंंग , wordpress, ब्लॉगर, free wap भी बहुत सारी जानकारिया इन हिन्दीdevelopmaint course in हिन्दी java,java script,html,jqury, php , full course in हिन्दी android tricks,

23 Oct 2016






hello dosto mera naam mahendra kumar hai or aaj ham android mobile se sambhdit bate kare
Android Mobile Top 10 Tips And Tricks In Hindi 2016 - Cute and Sweet Ideas !

Aur Android phone ki sabse achi baat ki usme 100000+ lakh se bhi zyada applications support karte hai.Jisme se kuch application hamare liye Helpful hai toh kuch application Entertainmet ke liye hai.Android ki operating system me iske andar hi kuch aise tricks hai jise aap apne mobile ko ek computer ki tarah operate kar sakte hai.Aaj janege kuch aise hi Useful Tips and Tricks.



1.One Click Se Apne Android Mobile Ki Space Free Kare

  • Agar aapke pas 4gb,8gb ya 16gb ka memory card hai.Fir bhi zyada files hone ke karan aapke mobile ki space full ho jati hai toh aise vaqt me kya kare ki aapko kuch delete nhi na karna pade or aapke mobile ki space bhi free ho jaye.Iske liye aap diye hue steps ko follow kare.
  • Open File Manager >> Select Android Named Folder >>And Delete Android Folder.
  • NOTE : Is Trick me dyaan rahe ki sirf android naam ka folder hi delete karna hai.Verna koi or File bhi delete ho jayegi.

2.Baar-Baar Mobile Hang Ho Toh Kya Karna Chahiye

  • Agar aap apne android mobile me kuch use kar rahe hai or baar baar aapka mobile hang maar raha hai.Toh sabse pehle Home par aa jaiye.Fir Sare Application Close kar dijiye.Ab Task Manger Me jake Clear Ram par Click kar de.Ab aapka mobile hang hona band ho jayega.

3.Mobile Me Image Size Kaise Kam Kare Taki Hamari MBs Bach Sake

  • Jo Android mobile ke camera 5mp ya 8mp hai.Agar use aap photos khichte hai toh aapke photos ki size 2mb se 5mb tak ho sakti hai.Ise hamari mobile ki space jald hi full ho jati hai.Par agar aap chaho toh bina kisi application ke aap image ki size ko 30kb se 200kb tak ka sakte hai.Jise aapki MBs bach sakti hai.
  • Iske liye aapko Mobile Gallery me jana hoga.Fir jiska size kam karna chahte hai voh photo ko open kare.Ab Option par click kare.Fir Crop select kare.Or puri image ko crop kar le.Is tarah aapki image size bahot kam ho jayegi.

4.Mobile Camera Se Image Ki size Kaise Kam Kare

  • Agar aap chahte hai ki aap jo photo khichte hai uski size kam ho.Bahot se mobile me High resolution hone ki vajah se photo click karne par MBs jyada use hoti hai.
  • Agar aapka mobile 5mp ya 8mp ka hai toh aap Moblie camera me jaye.Fir Setting ko open kare.Or Image Resolution ko select kare Aap ko jo Acha or kam lage voh resolution set kar de.

5.Kisi Bhi Text Data Ko Mobile Me Kaise Save Kare

  • Aap whatsapp ya facebook ya kahi pe bhi kuch padh rahe hai or voh chiz aapko pasand aa gai Or aap use apne mobile me save karna chahte hai toh konsi jagah [par save kare jo sabse safe ho.
  • Agar aap whatsapp me save karte hai toh voh kabhi bhi apne aap delete ho sakta hai.Islie sabse best jagah Mobile Memo hai.Kisi bhi content ko aap copy kar ke mobile me Memo me hi save kare.

6.Internet Connectin Bar-Bar Band Ho Jaye Ya Access Na Ho Toh Kya Kare

  • Agar aap city se kisi door ke vistaar me reh rahe hai ya fir aapka simcard company aisi hai jiska aap ke vaha kam network mil raha hai toh upar batayi gai problem aapke android mobile me ho sakti hai.
  • Iske lie ek simple Trick hai Jab bhi aisa ho toh apne Android Mobile ke setting me jaye Fir Flight Mode On Kar dijiye 1-2 minute tak aisa hi rehne de fir Flight Mode Off Kar dijiye.

7.Bina Typing Kiye Google Pe Kaise Search Kare

  • Agar aapko google pe kuch dhundna ho toh type karna padta hai par agar aapko typing karne me kantala aata hai or time wasting lagta hai toh aap Google Search ke baju me ek chota sa Google Voice ka button hota hai Uspar Click kar dijiye.Fir aap jo bhi dhundna chahte hai voh bole Google aapki aawaz ko record karega.Aur searching karna chalu kar dega.

8.Android Mobile Me Free Internet Kaise Chalaye - Sabse Simple Tarika

  • Free Internet chalane ke bare me internet par bahot se article pade hai par in sab me se jo best tarika hai voh Opera Mini Handler App.
  • Agar aapka simcard Airtel ka hai toh aap badi aasani se Opera Mini Handler app ko download kar ke usme internet chala sakte hai.
  • Free Internet Access karne ke lie aapke mobile me balance 0rs hona chahiye.Aur ha Note kar le ke Ye tricks kabhi work karta hai toh kabhi nai karta.Fir bhi me aapko solution duga aap muje bata dena work karta hai ki nai !

    9.Android Mobile Ki Battery Ko Lambe Samay Tak Kaise Chalaye

    • Battery ki long life ke liye sabse pehle aap Un Application ko delete kar de jo kisi kaam ke nai hai or aapne use uhi install kar rakhe hai.Ise aapki space bhi free ho jayegi.
    • Apne Mobile ki Brightness ko kam rakhe Or Screen Timeout 15 second ya 30 second rakhe.
    • Phone ko Vibrate Mode pe na rahe Or Ringtone mode par rakhe.
    • Bluetooh,Wifi,GPS,Mobile Data jaise feuters ko kaam ho jane ke baad turant band kar de.
    • Mobile ko baar baar charge na kare or jab bhi charging kare toh 95% tak hi charge kare.

    10.Android Mobile Ke Pattern Lock Ko Kaise Tode

    • Kahi baar ham mobile me pattern lock kar dete hai or fir bhool jate hai ki konsa pattern use kia tha.Tab ham confuse ho jate hai kyo ki mobile puri tarah se lock ho chuka hota hai.Aise samay me ek trick hai jise aap apne mobile ki pattern lock ko unlock kar sakte hai.
    • Sabse pehle apna Mobile swith off kare de.Fir Volume Key+Home Key Or Power On Key ek sath 15 second tak daba kar On kijiye.
    • Ab Ek Boot menu khulega usme Factory Reset ko select kare.Select karne ke liye Volume up & down key ka use kijiye.Fir Home button se Factory Reset me Ok kar dijiye.Badhai Ho !! Ab aapka phone Reset ho chuka hoga Aur Pattern lock bhi hat chuka hoga.

    No comments:

    Post a Comment

    Aap Hame Comment Kar Sakte Hai Aap Ka Hamari Blog Main Suwagat Hai