pc tricks and tips in hindi

कम्प्युटर ट्रिक्स ,विंडोज, हैकिंंग , wordpress, ब्लॉगर, free wap भी बहुत सारी जानकारिया इन हिन्दीdevelopmaint course in हिन्दी java,java script,html,jqury, php , full course in हिन्दी android tricks,

19 Dec 2017

how to make free blog in blogger in hindi tricks

how to make free blog in blogger in hindi tricks


hi friends pc hindi tricks main aap ka suagat hai to aaj ham baat karege  ki kaise  ham blogger par free blog kaise banate  step by step hindi main to suru kar te hai .



Aap Website in Hindi ki is post ko padne ke baad khud Blog / website banana sikh sakenge or etna hee nahi aap sikhenge ki apni website ko Internet par popular kaise kare or Website ka sahi upyog karke usse Income kaise generate kare. Agar aap bhi Internet se paisa kamane ke baare me soch rahe hai to Befaltu ke program, app, refer code, sponsor ID ka chakkar chodiye or Khud ki website banaiye isse aap bahut paisa kama sakte hai or aapki sari needs puri kar sakte hai. Free website kaise banaye
Free blog or Self hosted website which is best
Muft blog ya Self hosted website kya sahi hai

Pahle hum free blog ke vishay me baat karenge Free blog ek aisa platform hai jaha aap bina Domain name or Hosting kharide apna content internet par rakh sakte hai. yani ek blog bana sakte hai jisme aap kai saari post, image, video evm any jankari share kar sakte hai. Internet par free blog offer karne wali websites ki kami nahi hai kintu Google ka bloger ek aisa platform hai jo sabse jyada accha maana jaata hai kyoki aap yaha behtar tarike se apne blog ko design kar sakte hai or bloger ke SEO friendly platform hai jisse aapki post search me jyada behtara tarike se aa sakti hai yani aapki online income ko badane me madad karti hai. 

Free website kaise banaye | blog kaise banaye


Sabse pahle aap Google ke blogger https://www.blogger.com par jaye or apne gmail account se login kare or continue blogger par click kare. aapko yah window dikhai degi.

bloggers1

Yaha par aapko New blog par click karna hai jisse aapko is tarah ka ek popup window dikhai degi jaha aapko website ka title address or template choose karna hai.

New-blog
Jab aap koi template select karke create blog par click karege to aap aapke new designed blog par pahuch jyege jo kuch is tarah ka dikhai dega.
create-blog
Aaiye jante hai upar dikhai de rahe blog ke options ke kya kary hai or kis tarah inka use karke hum hamare blog ko apne anusaar bana sakte hai.

choose-template
    New Post : New post ki madad se hum hamare blog ke liye nai post likh sakte hai (Post : abhi jo aap pad rahe hai vah ek post hai kintu yah bloger ki nahi self hosted website ki post hai)


    Post : Iski madad se hum hamare dwara likhi gai post dekh sakte hai.


    Preview : Blog ka preview dekhne ke liye iska use kiya jata hai.


    Overview ki madad se hum hamari website ki kul post, page, followers, comment, pageviews aadi dekh sakte hai.


    Post : yaha se bhi hum hamare dwara create ki gai post dekh sakte hai.
custom-permalink


    Page : blog ke liye page yaha se banaye jate hai or hamare dwara banaye gaye page ko edit bhi yaha se kiya jata hai Page: About us, Contact Us, etc.


    Comment : Hamare blog par ki gai comments ko yaha se manage kiya ja sakta hai.


    Stats : yahs se hum hamare blog ka stats pata kar sakte hai Jaise Pageviews today, Pageviews yesterday, Pageviews last month, Pageviews all time history etc.
google-analytics


    Earning : Blog se hui earning jaise adsens aadi ki jankari yaha se prapt ki ja sakti hai.

adsense
    Campaigns : yahs se hum hamare blog ke liye ad banakar use promote kar sakte hai kintu iske liye hume google ko payment karna pad sakta hai.


    Layout : yaha se hum hamari website or blog ka layout jaise header, footer, column, Sidebar aadi set kar sakte hai, yaha se hum hamari website ke liye favicon bhi set kar sakte hai.
add-Gadget


    Template : hum kisi bhi samay yaha uplabdh saikdo template me se  hamare blog ka template badal sakte hai is option ki madad se.

edit-html
Setting : Last me setting ka option hota hai jisse hum hamare blog ki kai tarah ki settings kar sakte hai jaise Title, description, Privacy, Address, author, readers aadi tarah ki setting chang kar sake hai.
custom-domain


to dekha aapne kis tarah hum blogger ka use karke free blog bana sakte hai ab rahi baat self hosted website ki to uske liye aapko Pahle domain name kharidna padta hai fir website ko host karne ke liye web hosting kharidna padti hai or fir hum programming ka use karke ya fir WordPress ka use karke website bana sakte hai. Jitna aasan free blog banana hai utna aasan self hosted website banana nahi hai iske liye aapko wordpress ka pura gyan hona chahiye ya fir programming aana chahiye aap Self hosted website banane ki puri jankari hamari any post वेब डेवलपमेंट me prapt kar sakte hai or वेबसाइट कैसे बनाये me aap step by step Website banana sikh sakte hai.


Free website kaise banaye (how to build free website) yah post aapko kaise lagi hume comment ke madhyam se jarur bataye or koi bhi question puchna chahe to aap comment me puch sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Aap Hame Comment Kar Sakte Hai Aap Ka Hamari Blog Main Suwagat Hai